- Surah Bani-Israel aur Surah Kahf ka Jora hai
- Quran ka zikar, Quran mein lafz Quran ke kasrat se issi Surah mein hai sb se zyada
- First Ruku, 4 adwaar mein baant dia hai
- Hadees: jo halaat bani israel pe aaye wohi meri ummat pe aayein ge
- Dr. Israr books:
- In Urdu (short): Tareekhi Pasmanzar
- In Urdu (long): Sabika or Mojooda Musalmaan umaton ka Mazi, Haal aur Mustakbil
- In English (short): Rise and decline of the Muslim Ummah
- In English (long): Lessons from History
- Hazrat Nooh (A.S) k baitay Saam, Haam & Yafis
- Saam ke nasal se Hazrat Ibrahim (A.S)
- Great history description of Yahood by Dr. Israr after 15 mins in video: 017_Bani_Israil_036_To_085.mp4
- Time: 18:00 to 26:00
- Muslim ummah ka decline:
- 1917: Balfor Declaration
- 1948: Israel ban gaya
- 1967: Israel territory increased
- 1991: Israel ka main dushman Iraq tabah
- Sath sath muslim ummah k zawal k, saal 2000 tak urooj ke koshishein b jaari hein
- Azaab se pehle k halaat (Ayat 16)
- Sarmayadar kisi b qoum k hon unki be-rah-ravi ke waja se aati hai or wo awaam jo unhay rokti nai hai
- Nahi anilnunkir karnay walay bacha liay jatay hein bas
- Dunia or Akhirat k taalib logon k liye litmus test (Ayat 18-19)
- 3rd n 4th Ruku = Summary of Torah (10 Commandments) a/c Hazrat Abdullah Ibn Abbas (R.A) [Khulas in Surah Anaam last part]
- Bandagi Allah ke
- Walideyn k sath salooq (Ayat 23-24) [Ayat 24 = Dua, Rabir-ham-huma]
- Rishtedaar or haqdaar ke madad
- Fazool kharchi na karo, Aetadal mein reh kar logon ke madad. Jo kar sktay ho karo, lekin ye na smjho k tm kisi k halaat badalnay pe qadir ho (Ayat 29)
- Zina k qareeb tak na bhatakna
- Insaani jaan ka ehtraam
- Yateemon k maal k qareeb na bhatakna
- Ehad ke pabandi karo
- Poora toulo or sahi toulo, tol kam mat karo
- Aesi cheez k peechay mat paro jiska tmharay paas ilm nai (Ayat 26) [ilm pe dehaan do, tawahummat pe nai] (Acquired Knowledge vs Revealed Knowledge)
- Hazoor (S.A.W) ne farmaya k mjhay Hazrat Younas (A.S) pe b fazeelat na do (jo k akele aese nabi hein jinki thori pakar hoi thi) [017_Bani_Israil_086_To_018_Al-Kahef_028 - Time: 27:00 - 29:00]
- Kyu koi hissi moujza nai dia (Ayat 58)
- Shaitaan ke haqeeqat or capabilities especially k Shaitaan zabardasti kuch nai kara skta insaan se (Ayat 65)
- Makkah se hijrat ka hukam or future (Ayat 80)
- Roh ke haqeeqat, Aalam e Amar (Aalam e Gheyb) ke shay hai jis ka insaan ko ilm nai dia gaya (Ayat 85)
- Madinah k Yahood ne Hazoor (S.A.W) se 3 sawal puchay thay
- Roh kya hai? (in Surah Bani-Israel)
- Zulqarnain kon thay? (in Surah Kahf)
- Ashab e Kahf ka kya waqiyah hai? (in Surah Kahf)
- Last ayat ham wazan hai Surah Ikhlas k (5 andaaz se tauheed or azmat bayan hai Allah ke)